jhoothon ke liye jag mein hardam hi tabaahi hai
sacche ke liye deta bhagwaan gawaahi hai
maykhwaar karo may se tauba bhi nahin to phir
haathon se chhalkati ye jeevan ki suraahi hai
jo dharm pe hain chalte sadhak rahe shambhu ke
dekhen vo sawaari bhi shankar jee ki shaahi hai
ye husn hazaaro hi pardo mein raha karta
deedaar ki sabko bhi rahti yun manaahi hai
eemaan nahin koi aur dharm na koi bhi
mazloom se karte vo paison ki ugaahi hai
qurbaan hain shaidai is mulk ki azmat ke
sarhad pe lutaane jaan mustaid sipaahi hai
sabko hi muhabbat ki meena hai zaroorat jab
phaili hai yahan phir kyun nafrat ki siyaahi hai
झूठों के लिए जग में हरदम ही तबाही है
सच्चे के लिए देता भगवान गवाही है
मयख़्वार करो मय से तौबा भी नहीं तो फिर
हाथों से छलकती ये जीवन की सुराही है
जो धर्म पे हैं चलते साधक रहे शम्भू के
देखें वो सवारी भी शंकर जी की शाही है
ये हुस्न हज़ारो ही पर्दों में रहा करता
दीदार की सबको भी रहती यूँ मनाही है
ईंमान नहीं कोई और धर्म न कोई भी
मज़लूम से करते वो पैसों की उगाही है
क़ुर्बान हैं शैदाई इस मुल्क की अज़मत के
सरहद पे लुटाने जाँ मुस्तैद सिपाही है
सबको ही मुहब्बत की मीना है ज़रूरत जब
फैली है यहाँ फिर क्यों नफ़रत की सियाही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Dushmani Shayari Shayari