harik gali se harik rahguzar se guzre hain | हरइक गली से हरइक रहगुज़र से गुज़रे हैं

  - Meena Bhatt

harik gali se harik rahguzar se guzre hain
tumhaare ishq mein ham har dagar se guzre hain

teri gali se hua raahat-o-sukoon haasil
nijaat-e-dard mili jab idhar se guzre hain

nazar bacha ke guzarne kii chhod do aadat
ye lamhe baarha meri nazar se guzre hain

sharf mila na kabhi deed ka mujhe lekin
hazaar baar tere baam o dar se guzre hain

tujhe vaqaar mila aur hamein mili raahat
ghazal tere liye zer o zubar se guzre hain

shajar kii chaah mein saansen bhi tham gaeein jinki
vo kuchh parinde bhi apni nazar se guzre hain

talaash-e-yaar mein bhatke kahaan kahaan meena
tumhaare vaaste shams o qamar se guzre hain

हरइक गली से हरइक रहगुज़र से गुज़रे हैं
तुम्हारे इश्क़ में हम हर डगर से गुज़रे हैं

तेरी गली से हुआ राहत-ओ-सुकूँ हासिल
निजात-ए-दर्द मिली जब इधर से गुज़रे हैं

नज़र बचा के गुजरने की छोड़ दो आदत
ये लम्हे बारहा मेरी नज़र से गुज़रे हैं

शरफ़ मिला न कभी दीद का मुझे लेकिन
हज़ार बार तेरे बाम ओ दर से गुज़रे हैं

तुझे वक़ार मिला और हमें मिली राहत
ग़ज़ल तेरे लिए ज़ेर ओ ज़बर से गुज़रे हैं

शजर की चाह में साँसें भी थम गईं जिनकी
वो कुछ परिंदे भी अपनी नज़र से गुज़रे हैं

तलाश-ए-यार में भटके कहाँ कहाँ मीना
तुम्हारे वास्ते शम्स ओ क़मर से गुज़रे हैं

  - Meena Bhatt

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari