lagta hai aisa jaise paani se naar guzre
chattan cheer kar jab bhi aabshaar guzre
insaan kuchh saleeke bachpan mein seekh le gar
kyun zindagi na uski phir shaandaar guzre
badle khizaan ka mausam aaye qaraar kuchh to
ae kaash mere dar se koi bahaar guzre
aaye the paak daaman peer-e mugaan ke dar par
lekin yahan se hokar ham daagdaar guzre
qatra na ho saka ik pyaasi zameen ko haasil
sehra se yun to baadal kitni hi baar guzre
har aankh ro rahi thi har dil sisak raha tha
kaandhon pe mujhko lekar jab mere yaar guzre
mehboob ki gali ke dastoor ke mutaabiq
sar ko jhukaaye meena sab taajdaar guzre
लगता है ऐसा जैसे पानी से नार गुज़रे
चट्टान चीर कर जब भी आबशार गुज़रे
इंसान कुछ सलीके बचपन में सीख ले गर
क्यूँ ज़िंदगी न उसकी फिर शानदार गुज़रे
बदले ख़िज़ाँ का मौसम आए क़रार कुछ तो
ए काश मेरे दर से कोई बहार गुज़रे
आए थे पाक दामन पीर-ए- मुगाँ के दर पर
लेकिन यहाँ से होकर हम दाग़दार गुज़रे
क़तरा न हो सका इक प्यासी ज़मीं को हासिल
सहरा से यूँ तो बादल कितनी ही बार गुज़रे
हर आँख रो रही थी हर दिल सिसक रहा था
काँधों पे मुझको लेकर जब मेरे यार गुज़रे
महबूब की गली के दस्तूर के मुताबिक़
सर को झुकाए मीना सब ताजदार गुज़रे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading Mausam Shayari Shayari