jab jubaan par ye shayari aayi
haq mein mere bhi zindagi aayi
zindagi se na aashiqi aayi
mere hisse mein bebasi aayi
saath tera jo mil gaya mujhko
tan se khushboo bhi sandali aayi
padh sake ham kitaab ulfat kii
kitni mushkil se faarsi aayi
zahr kaisa hai in fazaaon mein
sabko dasne ko ye sadi aayi
khair maqdam karein sabhi us ka
ghar mein mere jo laadli aayi
jo qalam chal nahin rahi meena
yun lage dard mein kami aayi
जब जुबाँ पर ये शायरी आई
हक़ में मेरे भी ज़िंदगी आई
ज़िंदगी से न आशिक़ी आई
मेरे हिस्से में बेबसी आई
साथ तेरा जो मिल गया मुझको
तन से ख़ुशबू भी संदली आई
पढ़ सके हम किताब उल्फ़त की
कितनी मुश्किल से फ़ारसी आई
ज़ह्र कैसा है इन फ़ज़ाओं में
सबको डसने को ये सदी आई
ख़ैर मक़्दम करें सभी उस का
घर में मेरे जो लाडली आई
जो क़लम चल नहीं रही मीना
यूँ लगे दर्द में कमी आई
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari