saath chalna hai mujhe ab hausla ho ya na ho
saath tera meri qismat mein likha ho ya na ho
waqt-e-rukhsat bhi main tanhaa jee rahi hoon sabr se
ab kisi ka chahe mujhko aasraa ho ya na ho
zindagi bhar maine maangi bandagi mein jo dua
kya pata manzoor meri ai khuda ho ya na ho
zindagi kar di hai tere naam ulfat mein sanam
ab bhale jeene ka koii muddaa ho ya na ho
qatl tumne hi kiya hai mere har armaan ka
par adaalat se tumhein koii saza ho ya na ho
chahte hain meer-o-ghalib jaisa vo apna maqaam
chahe unka shaayari se raabta ho ya na ho
ai shikaari tu qafas mein qaid chahe rakh mujhe
dil to hai azaad meena ka tera ho ya na ho
साथ चलना है मुझे अब हौसला हो या न हो
साथ तेरा मेरी क़िस्मत में लिखा हो या न हो
वक़्त-ए-रुख़्सत भी मैं तन्हा जी रही हूँ सब्र से
अब किसी का चाहे मुझको आसरा हो या न हो
ज़िन्दगी भर मैंने माँगी बंदगी में जो दुआ
क्या पता मंज़ूर मेरी ऐ ख़ुदा हो या न हो
ज़िन्दगी कर दी है तेरे नाम उल्फ़त में सनम
अब भले जीने का कोई मुद्दआ हो या न हो
क़त्ल तुमने ही किया है मेरे हर अरमान का
पर अदालत से तुम्हें कोई सज़ा हो या न हो
चाहते हैं मीर-ओ-ग़ालिब जैसा वो अपना मुक़ाम
चाहे उनका शाइरी से राब्ता हो या न हो
ऐ शिकारी तू क़फ़स में क़ैद चाहे रख मुझे
दिल तो है आज़ाद 'मीना' का तेरा हो या न हो
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari