mujhko zaruraton ne yun laachaar kar diya
is zindagi ko koocha-e-bazaar kar diya
ai ishq teri zid ne khalafshar kar diya
kitnon ka daagdaar hi kirdaar kar diya
insaaf munsifon ka ye laaya hamein kahaan
har be-qusoor ko hi gunahgaar kar diya
be-saakhta jab usne kaha chahta hoon main
nazren jhuka ke maine bhi iqaar kar diya
mahroom baam-o-dar mera deedaar-e-yaar se
jalwon se usne gair ko zardaar kar diya
jisne bhi sar uthaya zamaane ne usko phir
ilzaam-e-aashiqi mein sar-e-daar kar diya
meraaj usko mil gai haq pe sada rahi
meena ka rab ne ooncha hi meaar kar diya
मुझको ज़रूरतों ने यूँ लाचार कर दिया
इस ज़िंदगी को कूचा-ए-बाज़ार कर दिया
ऐ इश्क़ तेरी ज़िद ने ख़लफ़शार कर दिया
कितनों का दाग़दार ही किरदार कर दिया
इन्साफ़ मुंसिफ़ों का ये लाया हमें कहाँ
हर बे-क़ुसूर को ही गुनहगार कर दिया
बे-साख़्ता जब उसने कहा चाहता हूँ मैं
नज़रें झुका के मैंने भी इक़रार कर दिया
महरूम बाम-ओ-दर मेरा दीदार-ए-यार से
ज़ल्वों से उसने ग़ैर को ज़रदार कर दिया
जिसने भी सर उठाया ज़माने ने उसको फिर
इल्ज़ाम-ए-आशिक़ी में सर-ए-दार कर दिया
मेराज उसको मिल गई हक़ पे सदा रही
'मीना' का रब ने ऊँचा ही मेआर कर दिया
As you were reading Shayari by Meena Bhatt
our suggestion based on Meena Bhatt
As you were reading undefined Shayari