dil bahm pahuncha badan mein tab se saara tan jala | दिल बहम पहुँचा बदन में तब से सारा तन जला

  - Meer Taqi Meer

dil bahm pahuncha badan mein tab se saara tan jala
aa padi ye aisi chingaari ki pairaahan jala

sarkashi hi hai jo dikhlaati hai is majlis mein daagh
ho sake to sham'a saan deeje rag-e-gardan jala

badar saan ab aakhir aakhir chha gai mujh par ye aag
warna pehle tha mera jun maah nau daaman jala

kab talak dhooni lagaaye yogiyon ki si rahoon
baithe baithe dar pe tere to mera aasan jala

garmi us aatish ke par kaale se rakhe chashm tab
jab koi meri tarah se deve sab tan man jala

ho jo minnat se to kya vo shab nasheeni baagh ki
kaat apni raat ko khaar-o-khas-e-gulkhan jala

sookhte hi aansuon ke noor aankhon ka gaya
bujh hi jaate hain diye jis waqt sab roghan jala

shola afshaani nahin ye kuchh nayi is aah se
doon lagi hai aisi aisi bhi ki saara ban jala

aag si ik dil mein sulge hai kabhu bhadki to meer
degi meri haddiyon ka dher jun eendhan jala

दिल बहम पहुँचा बदन में तब से सारा तन जला
आ पड़ी ये ऐसी चिंगारी कि पैराहन जला

सरकशी ही है जो दिखलाती है इस मज्लिस में दाग़
हो सके तो शम्अ साँ दीजे रग-ए-गर्दन जला

बदर साँ अब आख़िर आख़िर छा गई मुझ पर ये आग
वर्ना पहले था मिरा जूँ माह नौ दामन जला

कब तलक धूनी लगाए जोगियों की सी रहूँ
बैठे बैठे दर पे तेरे तो मिरा आसन जला

गर्मी उस आतिश के पर काले से रखे चश्म तब
जब कोई मेरी तरह से देवे सब तन मन जला

हो जो मिन्नत से तो क्या वो शब नशीनी बाग़ की
काट अपनी रात को ख़ार-ओ-ख़स-ए-गुलख़न जला

सूखते ही आँसुओं के नूर आँखों का गया
बुझ ही जाते हैं दिए जिस वक़्त सब रोग़न जला

शोला अफ़्शानी नहीं ये कुछ नई इस आह से
दूँ लगी है ऐसी ऐसी भी कि सारा बन जला

आग सी इक दिल में सुलगे है कभू भड़की तो 'मीर'
देगी मेरी हड्डियों का ढेर जूँ ईंधन जला

  - Meer Taqi Meer

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari