hasti apni habaab ki si hai | हस्ती अपनी हबाब की सी है

  - Meer Taqi Meer

hasti apni habaab ki si hai
ye numaish saraab ki si hai

nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhudi ik gulaab ki si hai

chashm-e-dil khol is bhi aalam par
yaa ki auqaat khwaab ki si hai

baar baar us ke dar pe jaata hoon
haalat ab iztiraab ki si hai

nuqta-e-khaal se tira abroo
bait ik intikhaab ki si hai

main jo bola kaha ki ye awaaz
usi khaana-kharaab ki si hai

aatish-e-gham mein dil bhuna shaayad
der se boo kebab ki si hai

dekhiye abr ki tarah ab ke
meri chashm-e-pur-aab ki si hai

meer un neem-baaz aankhon mein
saari masti sharaab ki si

हस्ती अपनी हबाब की सी है
ये नुमाइश सराब की सी है

नाज़ुकी उस के लब की क्या कहिए
पंखुड़ी इक गुलाब की सी है

चश्म-ए-दिल खोल इस भी आलम पर
याँ की औक़ात ख़्वाब की सी है

बार बार उस के दर पे जाता हूँ
हालत अब इज़्तिराब की सी है

नुक़्ता-ए-ख़ाल से तिरा अबरू
बैत इक इंतिख़ाब की सी है

मैं जो बोला कहा कि ये आवाज़
उसी ख़ाना-ख़राब की सी है

आतिश-ए-ग़म में दिल भुना शायद
देर से बू कबाब की सी है

देखिए अब्र की तरह अब के
मेरी चश्म-ए-पुर-आब की सी है

'मीर' उन नीम-बाज़ आँखों में
सारी मस्ती शराब की सी

  - Meer Taqi Meer

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari