dil-e-betaab aafat hai bala hai | दिल-ए-बेताब आफ़त है बला है

  - Meer Taqi Meer

dil-e-betaab aafat hai bala hai
jigar sab kha gaya ab kya raha hai

hamaara to hai asl-e-muddaa tu
khuda jaane tira kya muddaa hai

mohabbat-kushta hain ham yaa kisoo paas
hamaare dard ki bhi kuchh dava hai

haram se dair uth jaana nahin aib
agar yaa hai khuda waan bhi khuda hai

nahin milta sukhun apna kisoo se
hamaara guftugoo ka dhab juda hai

koi hai dil khinche jaate hain udhar
fuzooli hai tajassus ye ki kya hai

marooun main is mein ya rah jaaun jeeta
yahi sheva mera mehr-o-wafa hai

saba udhar gul udhar sarv udhar
usi ki baagh mein ab to hawa hai

tamaasha-kardani hai daag-e-seena
ye phool is takhte mein taaza khila hai

hazaaron un ne aisi keen adaayein
qayamat jaise ik us ki ada hai

jagah afsos ki hai baad chande
abhi to dil hamaara bhi baja hai

jo chupke hoon kahe chupke ho kyun tum
kaho jo kuchh tumhaara muddaa hai

sukhun kariye to hove harf-zan yun
bas ab munh moond le main ne suna hai

kab us begaana-khoo ko samjhe aalam
agarche yaar aalam-aashna hai

na aalam mein hai ne aalam se baahar
p sab aalam se aalam hi juda hai

laga main gird sar firne to bola
tumhaara meer saahib sar-fira hai

दिल-ए-बेताब आफ़त है बला है
जिगर सब खा गया अब क्या रहा है

हमारा तो है अस्ल-ए-मुद्दआ तू
ख़ुदा जाने तिरा क्या मुद्दआ है

मोहब्बत-कुश्ता हैं हम याँ किसू पास
हमारे दर्द की भी कुछ दवा है

हरम से दैर उठ जाना नहीं ऐब
अगर याँ है ख़ुदा वाँ भी ख़ुदा है

नहीं मिलता सुख़न अपना किसू से
हमारा गुफ़्तुगू का ढब जुदा है

कोई है दिल खिंचे जाते हैं ऊधर
फ़ुज़ूली है तजस्सुस ये कि क्या है

मरूँ मैं इस में या रह जाऊँ जीता
यही शेवा मिरा मेहर-ओ-वफ़ा है

सबा ऊधर गुल ऊधर सर्व ऊधर
उसी की बाग़ में अब तो हवा है

तमाशा-कर्दनी है दाग़-ए-सीना
ये फूल इस तख़्ते में ताज़ा खिला है

हज़ारों उन ने ऐसी कीं अदाएँ
क़यामत जैसे इक उस की अदा है

जगह अफ़्सोस की है बाद चंदे
अभी तो दिल हमारा भी बजा है

जो चुपके हूँ कहे चुपके हो क्यूँ तुम
कहो जो कुछ तुम्हारा मुद्दआ है

सुख़न करिए तो होवे हर्फ़-ज़न यूँ
बस अब मुँह मूँद ले मैं ने सुना है

कब उस बेगाना-ख़ू को समझे आलम
अगरचे यार आलम-आश्ना है

न आलम में है ने आलम से बाहर
प सब आलम से आलम ही जुदा है

लगा मैं गिर्द सर फिरने तो बोला
तुम्हारा 'मीर' साहिब सर-फिरा है

  - Meer Taqi Meer

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari