ishq kya kya aafatein laata raha | इश्क़ क्या क्या आफ़तें लाता रहा

  - Meer Taqi Meer

ishq kya kya aafatein laata raha
aakhir ab doori mein jee jaata raha

mehr o mah gul phool sab the par hamein
chehraai chehra hi vo bhaata raha

dil hua kab ishq ki rah ka daleel
main to khud gum hi use paata raha

munh dikhaata barson vo khush-roo nahin
chaah ka yun kab talak naata raha

kuchh na main samjha junoon o ishq mein
der naaseh mujh ko samjhaata raha

daagh tha jo sar pe mere sham'a saan
paanv tak mujh ko wahi khaata raha

kaise kaise ruk gaye hain meer ham
muddaton munh tak jigar aata raha

इश्क़ क्या क्या आफ़तें लाता रहा
आख़िर अब दूरी में जी जाता रहा

मेहर ओ मह गुल फूल सब थे पर हमें
चेहरई चेहरा ही वो भाता रहा

दिल हुआ कब इश्क़ की रह का दलील
मैं तो ख़ुद गुम ही उसे पाता रहा

मुँह दिखाता बरसों वो ख़ुश-रू नहीं
चाह का यूँ कब तलक नाता रहा

कुछ न मैं समझा जुनून ओ इश्क़ में
देर नासेह मुझ को समझाता रहा

दाग़ था जो सर पे मेरे शम्अ साँ
पाँव तक मुझ को वही खाता रहा

कैसे कैसे रुक गए हैं 'मीर' हम
मुद्दतों मुँह तक जिगर आता रहा

  - Meer Taqi Meer

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari