khoobi ka us ki bas-ki talabgaar ho gaya | ख़ूबी का उस की बस-कि तलबगार हो गया

  - Meer Taqi Meer

khoobi ka us ki bas-ki talabgaar ho gaya
gul baagh mein gale ka mere haar ho gaya

kis ko nahin hai shauq tira par na is qadar
main to usi khayal mein beemaar ho gaya

main nau-damida baal chaman-zaad-e-tair tha
par ghar se uth chala so girftaar ho gaya

thehra gaya na ho ke hareef us ki chashm ka
seene ko tod teer-e-nigah paar ho gaya

hai us ke harf zer-e-labi ka sabhon mein zikr
kya baat thi ki jis ka ye bistaar ho gaya

to vo mataa hai ki padi jis ki tujh pe aankh
vo jee ko bech kar bhi khareedaar ho gaya

kya kahiye aah-e-ishq mein khoobi naseeb ki
dildaar apna tha so dil-aazaar ho gaya

aathon pahar laga hi phire hai tumhaare saath
kuchh in dinon main gair bahut yaar ho gaya

kab ro hai us se baat ke karne ka mujh ko meer
naa-karda jurm mein tu gunahgaar ho gaya

ख़ूबी का उस की बस-कि तलबगार हो गया
गुल बाग़ में गले का मिरे हार हो गया

किस को नहीं है शौक़ तिरा पर न इस क़दर
मैं तो उसी ख़याल में बीमार हो गया

मैं नौ-दमीदा बाल चमन-ज़ाद-ए-तैर था
पर घर से उठ चला सो गिरफ़्तार हो गया

ठहरा गया न हो के हरीफ़ उस की चश्म का
सीने को तोड़ तीर-ए-निगह पार हो गया

है उस के हर्फ़ ज़ेर-ए-लबी का सभों में ज़िक्र
क्या बात थी कि जिस का ये बिस्तार हो गया

तो वो मताअ' है कि पड़ी जिस की तुझ पे आँख
वो जी को बेच कर भी ख़रीदार हो गया

क्या कहिए आह-ए-इश्क़ में ख़ूबी नसीब की
दिलदार अपना था सो दिल-आज़ार हो गया

आठों पहर लगा ही फिरे है तुम्हारे साथ
कुछ इन दिनों मैं ग़ैर बहुत यार हो गया

कब रो है उस से बात के करने का मुझ को 'मीर'
ना-कर्दा जुर्म में तू गुनहगार हो गया

  - Meer Taqi Meer

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari