naale ka aaj dil se phir lab talak guzar hai
tak gosh rakhiyo idhar saath us ke kuchh khabar hai
ai hubb-e-jaah waalo jo aaj taajwar hai
kal us ko dekhiyo tum ne taaj hai na sar hai
ab ki hawaa-e-gul mein sairaabi hai nihaayat
joo-e-chaman pe sabza mizgaan-e-chashm-e-tar hai
ai ham-safeer-e-be-gul kis ko dimaagh-e-naala
muddat hui hamaari minqaar-e-zer par hai
sham-e-akheer-e-shab hoon san sar-guzasht meri
phir subh hote tak to qissa hi mukhtasar hai
ab rehm par usi ke mauqoof hai ki yaa to
nay ashk mein saraayat nay aah mein asar hai
tu hi zamaam apni naake tuda ki majnoon
muddat se naqsh-e-paa ke maanind raah par hai
ham mast-e-ishq wa'iz be-hech bhi nahin hain
ghaafil jo be-khabar hain kuchh un ko bhi khabar hai
ab phir hamaara is ka mahshar mein maajra hai
dekhen to us jagah kya insaaf daad-gar hai
aafat-raseeda ham kya sar kheench us chaman mein
jon nakh-e-khushk ham ko nay saaya nay samar hai
kar meer us zameen mein aur ik ghazal to mauzoon
hai harf-zan qalam bhi ab taba bhi idhar hai
नाले का आज दिल से फिर लब तलक गुज़र है
टक गोश रखियो ईधर साथ उस के कुछ ख़बर है
ऐ हुब्ब-ए-जाह वालो जो आज ताजवर है
कल उस को देखियो तुम ने ताज है न सर है
अब की हवा-ए-गुल में सैराबी है निहायत
जू-ए-चमन पे सब्ज़ा मिज़्गान-ए-चश्म-ए-तर है
ऐ हम-सफ़ीर-ए-बे-गुल किस को दिमाग़-ए-नाला
मुद्दत हुई हमारी मिंक़ार-ए-ज़ेर पर है
शम-ए-अख़ीर-ए-शब हूँ सन सर-गुज़श्त मेरी
फिर सुब्ह होते तक तो क़िस्सा ही मुख़्तसर है
अब रहम पर उसी के मौक़ूफ़ है कि याँ तो
नय अश्क में सरायत नय आह में असर है
तू ही ज़माम अपनी नाके तुड़ा कि मजनूँ
मुद्दत से नक़्श-ए-पा के मानिंद राह पर है
हम मस्त-ए-इश्क़ वाइ'ज़ बे-हेच भी नहीं हैं
ग़ाफ़िल जो बे-ख़बर हैं कुछ उन को भी ख़बर है
अब फिर हमारा इस का महशर में माजरा है
देखें तो उस जगह क्या इंसाफ़ दाद-गर है
आफ़त-रसीदा हम क्या सर खींचें उस चमन में
जों नख़्ल-ए-ख़ुश्क हम को नय साया नय समर है
कर 'मीर' उस ज़मीं में और इक ग़ज़ल तो मौज़ूँ
है हर्फ़-ज़न क़लम भी अब तब्अ' भी इधर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Mashwara Shayari Shayari