jo saamne toofaan ke aaya nahin karte
ham aise charaagon ko jalaya nahin karte
jo sun ke uda dete hon har baat hasi mein
ahvaal unhen dil ke sunaaya nahin karte
kis tarah fale-foole mohabbat ye hamaari
vo rooth to jaate hain manaaya nahin karte
rakhte hain mobile mein mohabbat ki nishaani
ab phool kitaabon mein chhupaaya nahin karte
taadaad sitaaron ki ziyaada to hai lekin
suraj ke muqaabil kabhi aaya nahin karte
rizwan bane baithe hain vo log yahan par
jo pair kabhi maa ke dabaya nahin karte
kahte hain bade boodhe ki ghat jaati hain izzat
har roz kisi ke yahan jaaya nahin karte
जो सामने तूफ़ान के आया नहीं करते
हम ऐसे चराग़ों को जलाया नहीं करते
जो सुन के उड़ा देते हों हर बात हँसी में
अहवाल उन्हें दिल के सुनाया नहीं करते
किस तरह फले-फूले मोहब्बत ये हमारी
वो रूठ तो जाते हैं मनाया नहीं करते
रखते हैं मोबाइल में मोहब्बत की निशानी
अब फूल किताबों में छुपाया नहीं करते
तादाद सितारों की ज़ियादा तो है लेकिन
सूरज के मुक़ाबिल कभी आया नहीं करते
रिज़वान बने बैठे हैं वो लोग यहाँ पर
जो पैर कभी माँ के दबाया नहीं करते
कहते हैं बड़े बूढे की घट जाती हैं इज़्ज़त
हर रोज़ किसी के यहाँ जाया नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meharban Amrohvi
our suggestion based on Meharban Amrohvi
As you were reading Nature Shayari Shayari