zindagi di hai to jeene ka hunar bhi dena
paanv bakhshen hain to taufeeq-e-safar bhi dena
guftugoo tu ne sikhaai hai ki main goonga tha
ab main boloonunga to baaton mein asar bhi dena
main to is khaana-badoshi mein bhi khush hoon lekin
agli naslein to na bhatkein unhen ghar bhi dena
zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jaaye
us ko khanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena
ज़िंदगी दी है तो जीने का हुनर भी देना
पाँव बख़्शें हैं तो तौफ़ीक़-ए-सफ़र भी देना
गुफ़्तुगू तू ने सिखाई है कि मैं गूँगा था
अब मैं बोलूँगा तो बातों में असर भी देना
मैं तो इस ख़ाना-बदोशी में भी ख़ुश हूँ लेकिन
अगली नस्लें तो न भटकें उन्हें घर भी देना
ज़ुल्म और सब्र का ये खेल मुकम्मल हो जाए
उस को ख़ंजर जो दिया है मुझे सर भी देना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meraj Faizabadi
our suggestion based on Meraj Faizabadi
As you were reading Attitude Shayari Shayari