laaghar itna hoon ki gar tu bazm mein ja de mujhe
mera zimma dekh kar gar koi batla de mujhe
kya ta'ajjub hai jo us ko dekh kar aa jaaye rehm
waan talak koi kisi heele se pahuncha de mujhe
munh na dikhlaave na dikhla par b-andaaz-e-itaab
khol kar parda zara aankhen hi dikhla de mujhe
yaa talak meri giriftaari se vo khush hai ki main
zulf gar ban jaaun to shaane mein uljha de mujhe
लाग़र इतना हूँ कि गर तू बज़्म में जा दे मुझे
मेरा ज़िम्मा देख कर गर कोई बतला दे मुझे
क्या तअ'ज्जुब है जो उस को देख कर आ जाए रहम
वाँ तलक कोई किसी हीले से पहुँचा दे मुझे
मुँह न दिखलावे न दिखला पर ब-अंदाज़-ए-इताब
खोल कर पर्दा ज़रा आँखें ही दिखला दे मुझे
याँ तलक मेरी गिरफ़्तारी से वो ख़ुश है कि मैं
ज़ुल्फ़ गर बन जाऊँ तो शाने में उलझा दे मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Naqab Shayari Shayari