phir is andaaz se bahaar aayi | फिर इस अंदाज़ से बहार आई

  - Mirza Ghalib

phir is andaaz se bahaar aayi
ki hue mehr-o-mah tamaashaai

dekho ai saakinaan-e-khitta-e-khaak
is ko kahte hain aalam-aaraai

ki zameen ho gai hai sar-ta-sar
roo-kash-e-satah-e-charkh-e-meenaai

sabza ko jab kahi jagah na mili
ban gaya roo-e-aab par kaai

sabza o gul ke dekhne ke liye
chashm-e-nargis ko di hai beenaai

hai hawa mein sharaab ki taaseer
baada-noshi hai baada-paimaai

kyun na duniya ko ho khushi ghalib
shah-e-deen-daar ne shifaa paai

फिर इस अंदाज़ से बहार आई
कि हुए मेहर-ओ-मह तमाशाई

देखो ऐ साकिनान-ए-ख़ित्ता-ए-ख़ाक
इस को कहते हैं आलम-आराई

कि ज़मीं हो गई है सर-ता-सर
रू-कश-ए-सतह-ए-चर्ख़-ए-मीनाई

सब्ज़ा को जब कहीं जगह न मिली
बन गया रू-ए-आब पर काई

सब्ज़ा ओ गुल के देखने के लिए
चश्म-ए-नर्गिस को दी है बीनाई

है हवा में शराब की तासीर
बादा-नोशी है बादा-पैमाई

क्यूँ न दुनिया को हो ख़ुशी 'ग़ालिब'
शाह-ए-दीं-दार ने शिफ़ा पाई

  - Mirza Ghalib

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari