rehm kar zalim ki kya bood-e-charaagh-e-kushta hai | रहम कर ज़ालिम कि क्या बूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

  - Mirza Ghalib

rehm kar zalim ki kya bood-e-charaagh-e-kushta hai
nabz-e-beemaar-e-wafa dood-e-charaagh-e-kushta hai

dil-lagi ki aarzoo bechain rakhti hai hamein
warna yaa be-raunaki sood-e-charaagh-e-kushta hai

nashsha-e-may be-chaman dood-e-charaagh-e-kushta hai
jaam daagh-e-andood-e-charaagh-e-kushta hai

daagh-e-rabt-e-hum hain ahl-e-baagh gar gul ho shaheed
lala chashm-e-hasrat-aalood-e-charaagh-e-kushta hai

shor hai kis bazm ki arz-e-jaraahat-khaana ka
subh yak-bazm-e-namak sood-e-charaagh-e-kushta hai

रहम कर ज़ालिम कि क्या बूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है
नब्ज़-ए-बीमार-ए-वफ़ा दूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

दिल-लगी की आरज़ू बेचैन रखती है हमें
वर्ना याँ बे-रौनक़ी सूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

नश्शा-ए-मय बे-चमन दूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है
जाम दाग़-ए-अंदूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

दाग़-ए-रब्त-ए-हम हैं अहल-ए-बाग़ गर गुल हो शहीद
लाला चश्म-ए-हसरत-आलूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

शोर है किस बज़्म की अर्ज़-ए-जराहत-ख़ाना का
सुब्ह यक-बज़्म-ए-नमक सूद-ए-चराग़-ए-कुश्ता है

  - Mirza Ghalib

Maikashi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Maikashi Shayari Shayari