safaa-e-hairat-e-aaina hai samaan-e-zang aakhir
taghayyur aab-e-bar-ja-maanda ka paata hai rang aakhir
na ki samaan-e-aish-o-jaah ne tadbeer vehshat ki
hua jaam-e-zamurrad bhi mujhe daagh-e-palang aakhir
khatt-e-nau-khez neel-e-chashm zakhm-e-saafi-e-aariz
liya aaina ne hirz-e-par-e-tooti b-chang aakhir
hilaal-aasa tahee rah gar kushaadan-ha-e-dil chahe
hua mah kasrat-e-sarmaaya-andoozi se tang aakhir
tadap kar mar gaya vo said-e-baal-afshaan ki muztar tha
hua naasoor-e-chashm-e-taaziyat chashm-e-khadang aakhir
likhi yaaron ki bad-masti ne maykhaane ki paamaali
hui qatara-fishaani-ha-e-may-baaraan-e-sang aakhir
asad parde mein bhi aahang-e-shauq-e-yaar qaaim hai
nahin hai nagme se khaali khamidan-ha-e-chang aakhir
सफ़ा-ए-हैरत-ए-आईना है सामान-ए-ज़ंग आख़िर
तग़य्युर आब-ए-बर-जा-मांदा का पाता है रंग आख़िर
न की सामान-ए-ऐश-ओ-जाह ने तदबीर वहशत की
हुआ जाम-ए-ज़मुर्रद भी मुझे दाग़-ए-पलंग आख़िर
ख़त-ए-नौ-ख़ेज़ नील-ए-चश्म ज़ख़्म-ए-साफ़ी-ए-आरिज़
लिया आईना ने हिर्ज़-ए-पर-ए-तूती ब-चंग आख़िर
हिलाल-आसा तही रह गर कुशादन-हा-ए-दिल चाहे
हुआ मह कसरत-ए-सरमाया-अंदाेज़ी से तंग आख़िर
तड़प कर मर गया वो सैद-ए-बाल-अफ़्शाँ कि मुज़्तर था
हुआ नासूर-ए-चश्म-ए-ताज़ियत चश्म-ए-ख़दंग आख़िर
लिखी यारों की बद-मस्ती ने मयख़ाने की पामाली
हुइ क़तरा-फ़िशानी-हा-ए-मय-बारान-ए-संग आख़िर
'असद' पर्दे में भी आहंग-ए-शौक़-ए-यार क़ाएम है
नहीं है नग़्मे से ख़ाली ख़मीदन-हा-ए-चंग आख़िर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Aaina Shayari Shayari