yaad hai shaadi mein bhi hangaama-e-ya-rab mujhe | याद है शादी में भी हंगामा-ए-या-रब मुझे

  - Mirza Ghalib

yaad hai shaadi mein bhi hangaama-e-ya-rab mujhe
subha-e-zaahid hua hai khanda zer-e-lab mujhe

hai kushaad-e-khaatir-e-wa-basta dar rahan-e-sukhan
tha tilism-e-qufl-e-abjad khaana-e-maktab mujhe

ya rab is aashuftagi ki daad kis se chahiye
rashk aasaaish pe hai zindaaniyon ki ab mujhe

taba hai mushtaaq-e-lazzat-ha-e-hasrat kya karoon
aarzoo se hai shikast-e-aarzoo matlab mujhe

dil laga kar aap bhi ghalib mujhi se ho gaye
ishq se aate the maane meerzaa sahab mujhe

याद है शादी में भी हंगामा-ए-या-रब मुझे
सुब्हा-ए-ज़ाहिद हुआ है ख़ंदा ज़ेर-ए-लब मुझे

है कुशाद-ए-ख़ातिर-ए-वा-बस्ता दर रहन-ए-सुख़न
था तिलिस्म-ए-क़ुफ़्ल-ए-अबजद ख़ाना-ए-मकतब मुझे

या रब इस आशुफ़्तगी की दाद किस से चाहिए
रश्क आसाइश पे है ज़िंदानियों की अब मुझे

तब्अ' है मुश्ताक़-ए-लज़्ज़त-हा-ए-हसरत क्या करूँ
आरज़ू से है शिकस्त-ए-आरज़ू मतलब मुझे

दिल लगा कर आप भी 'ग़ालिब' मुझी से हो गए
इश्क़ से आते थे माने मीरज़ा साहब मुझे

  - Mirza Ghalib

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari