z-bas-ki mashq-e-tamaasha junoon-alamat hai
kushaad-o-bast-e-mizha seeli-e-nadaamat hai
na jaanoon kyunki mite daagh-e-taan-e-bad-ahdi
tujhe ki aaina bhi waarta-e-malaamat hai
b-pech-o-tab-e-havas silk-e-aafiyat mat tod
nigaah-e-ajjz sar-e-rishta-e-salaamat hai
wafa muqaabil-o-daava-e-ishq be-buniyaad
junoon-e-saakhta o fasl-e-gul qayamat hai
ज़-बस-कि मश्क़-ए-तमाशा जुनूँ-अलामत है
कुशाद-ओ-बस्त-ए-मिज़्हा सीली-ए-नदामत है
न जानूँ क्यूँकि मिटे दाग़-ए-तान-ए-बद-अहदी
तुझे कि आइना भी वार्ता-ए-मलामत है
ब-पेच-ओ-ताब-ए-हवस सिल्क-ए-आफ़ियत मत तोड़
निगाह-ए-अज्ज़ सर-ए-रिश्ता-ए-सलामत है
वफ़ा मुक़ाबिल-ओ-दावा-ए-इश्क़ बे-बुनियाद
जुनूँ-ए-साख़्ता ओ फ़स्ल-ए-गुल क़यामत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Wafa Shayari Shayari