zakham par chhidkein kahaan tiflaan-e-be-parwa namak | ज़ख़्म पर छिड़कें कहाँ तिफ़्लान-ए-बे-परवा नमक

  - Mirza Ghalib

zakham par chhidkein kahaan tiflaan-e-be-parwa namak
kya maza hota agar patthar mein bhi hota namak

gard-e-raah-e-yaar hai saamaan-e-naaz-e-zakhm-e-dil
warna hota hai jahaan mein kis qadar paida namak

mujh ko arzaani rahe tujh ko mubarak hojiyo
naala-e-bulbul ka dard aur khanda-e-gul ka namak

shor-e-jaulaan tha kanaar-e-bahr par kis ka ki aaj
gard-e-saahil hai b-zakhm-e-mauj-e-dariya namak

daad deta hai mere zakham-e-jigar ki waah waah
yaad karta hai mujhe dekhe hai vo jis ja namak

chhod kar jaana tan-e-majrooh-e-aashiq haif hai
dil talab karta hai zakham aur maange hain a'zaa namak

gair ki minnat na kheenchunga pay-e-taufeer-e-dard
zakham misl-e-khanda-e-qaatil hai sar-ta-pa namak

yaad hain ghalib tujhe vo din ki vajd-e-zauq mein
zakham se girta to main palkon se chunta tha namak

is amal mein aish ki lazzat nahin milti asad
zor nisbat may se rakhta hai azaara ka namak

ज़ख़्म पर छिड़कें कहाँ तिफ़्लान-ए-बे-परवा नमक
क्या मज़ा होता अगर पत्थर में भी होता नमक

गर्द-ए-राह-ए-यार है सामान-ए-नाज़-ए-ज़ख़्म-ए-दिल
वर्ना होता है जहाँ में किस क़दर पैदा नमक

मुझ को अर्ज़ानी रहे तुझ को मुबारक होजियो
नाला-ए-बुलबुल का दर्द और ख़ंदा-ए-गुल का नमक

शोर-ए-जौलाँ था कनार-ए-बहर पर किस का कि आज
गर्द-ए-साहिल है ब-ज़ख़्म-ए-मौज-ए-दरिया नमक

दाद देता है मिरे ज़ख़्म-ए-जिगर की वाह वाह
याद करता है मुझे देखे है वो जिस जा नमक

छोड़ कर जाना तन-ए-मजरूह-ए-आशिक़ हैफ़ है
दिल तलब करता है ज़ख़्म और माँगे हैं आ'ज़ा नमक

ग़ैर की मिन्नत न खींचूँगा पय-ए-तौफ़ीर-ए-दर्द
ज़ख़्म मिस्ल-ए-ख़ंदा-ए-क़ातिल है सर-ता-पा नमक

याद हैं 'ग़ालिब' तुझे वो दिन कि वज्द-ए-ज़ौक़ में
ज़ख़्म से गिरता तो मैं पलकों से चुनता था नमक

इस अमल में ऐश की लज़्ज़त नहीं मिलती 'असद'
ज़ोर निस्बत मय से रखता है अज़ारा का नमक

  - Mirza Ghalib

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari