dheere dheere hi magar parvaaz kar
aasmaan tera hai tu aaghaaz kar
in lakeeron mein nahin qismat tiri
khol mutthi aur chal awaaz kar
mit yun jaayega tira jashn-e-tuva
khud pe bhi zaahir na koii raaz kar
umr bhar ka hai safar ye zindagi
soye khwaabon ka na yun naaraz kar
zakhm gehre hain tire maana magar
dard se hi dard ka aaghaaz kar
धीरे धीरे ही मगर परवाज़ कर
आसमाॅं तेरा है तू आग़ाज़ कर
इन लकीरों में नहीं क़िस्मत तिरी
खोल मुठ्ठी और चल आवाज़ कर
मिट यूँ जाएगा तिरा नाम-ओ-निशा
ख़ुद पे भी ज़ाहिर न कोई राज़ कर
उम्र भर का है सफ़र ये ज़िंदगी
सोए ख़्वाबों का न यूँ नाराज़ कर
ज़ख़्म गहरे हैं तिरे माना मगर
दर्द से ही दर्द का आग़ाज़ कर
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari