gham vo apna main apni zabaani kahoon | ग़म वो अपना मैं अपनी ज़बानी कहूँ

  - Ankur Mishra

gham vo apna main apni zabaani kahoon
chahte ho main ashkon ko paani kahoon

chhod jaata hai tanhaa mujhe jis tarah
sochta hoon use main jawaani kahoon

zindagi poochhti hai pata maut ka
kis tarah khud-kushi ko kahaani kahoon

shart khud se laga haar jaata hoon main
chand qatron ko kaise nishaani kahoon

har dafa jaan jaati hai meri bashar
kyun na saanson ko nuqs-e-ravani kahoon

ग़म वो अपना मैं अपनी ज़बानी कहूँ
चाहते हो मैं अश्कों को पानी कहूँ

छोड़ जाता है तन्हा मुझे जिस तरह
सोचता हूँ उसे मैं जवानी कहूँ

ज़िंदगी पूछती है पता मौत का
किस तरह ख़ुद-कुशी को कहानी कहूँ

शर्त ख़ुद से लगा हार जाता हूँ मैं
चंद क़तरों को कैसे निशानी कहूँ

हर दफ़ा जान जाती है मेरी बशर
क्यों न साँसों को नुक़्स-ए-रवानी कहूँ

  - Ankur Mishra

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari