khaali khaali mera jo ghar hai
tanhaa raaton ka muqaddar hai
kyun gila ab main karoon usse
aaina khud mere andar hai
shaam dhalti laut aata hoon
khud mein kho jaane ka jo dar hai
isliye rehta hoon ab chup main
naam uska hi zabaan par hai
saath bahne waale dariya ke
aage gahra ik samandar hai
ख़ाली ख़ाली मेरा जो घर है
तन्हा रातों का मुक़द्दर है
क्यों गिला अब मैं करूँ उससे
आइना ख़ुद मेरे अंदर है
शाम ढलते लौट आता हूँ
ख़ुद में खो जाने का जो डर है
इसलिए रहता हूँ अब चुप मैं
नाम उसका ही ज़बाँ पर है
साथ बहने वाले दरिया के
आगे गहरा इक समंदर है
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari