mere hisse bhi to koii khwaab aaye
saath mere bhi koii ahbaab aaye
thak gaya hoon aise chalte chalte main ab
basti ab to koii ik aabaad aaye
muddaton firta raha hoon pyaasa dar dar
honthon pe ab to naya ik aab aaye
main hi kyun har baar khaaoon zakhm yaaron
naam ab ke mera uske baad aaye
chhod denge raasta ham uska ankur
pehle manzil to koii naayaab aaye
मेरे हिस्से भी तो कोई ख़्वाब आए
साथ मेरे भी कोई अहबाब आए
थक गया हूँ ऐसे चलते चलते मैं अब
बस्ती अब तो कोई इक आबाद आए
मुद्दतों फिरता रहा हूँ प्यासा दर दर
होंठों पे अब तो नया इक आब आए
मैं ही क्यों हर बार खाऊँ ज़ख़्म यारों
नाम अब के मेरा उसके बाद आए
छोड़ देंगे रास्ता हम उसका अंकुर
पहले मंज़िल तो कोई नायाब आए
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari