uske lab-o-rukhsaar se
tha ishq mujhko pyaar se
vo maane chahe ab na par
khush hoon main apni haar se
ik umr tanhaa guzri hai
ladte dar-o-deewar se
kaise kahoon ulfat nahin
us bewafa bezaar se
ro ro ke aankhen kahti hain
jal jaaun is angaar se
milna nahin kuchh bhi bashar
khaali pade bazaar se
उसके लब-ओ-रुख़्सार से
था इश्क़ मुझको प्यार से
वो माने चाहे अब न पर
ख़ुश हूँ मैं अपनी हार से
इक उम्र तन्हा गुज़री है
लड़ते दर-ओ-दीवार से
कैसे कहूँ उल्फ़त नहीं
उस बेवफ़ा बेज़ार से
रो रो के आँखें कहती हैं
जल जाऊँ इस अंगार से
मिलना नहीं कुछ भी बशर
ख़ाली पड़े बाज़ार से
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari