sochta hoon ab kinaara kar liya jaaye
uske bin hi ab guzaara kar liya jaaye
umr guzri ja rahi hai yaad mein jiski
ishq usse phir dobaara kar liya jaaye
ek lamha ek pal bhi jee nahin sakte
kahte hain vo sab gawara kar liya jaaye
khaamkhaa zaaya kiya khud ko sanam maine
chahiye tha ik sahaara kar liya jaaye
doobne se pehle is dariya mein koii to
usko ankur phir ishaara kar liya jaaye
सोचता हूँ अब किनारा कर लिया जाए
उसके बिन ही अब गुज़ारा कर लिया जाए
उम्र गुज़री जा रही है याद में जिसकी
इश्क़ उससे फिर दुबारा कर लिया जाए
एक लम्हा एक पल भी जी नहीं सकते
कहते हैं वो सब गवारा कर लिया जाए
ख़ामख़ा ज़ाया किया ख़ुद को सनम मैंने
चाहिए था इक सहारा कर लिया जाए
डूबने से पहले इस दरिया में कोई तो
उसको 'अंकुर' फिर इशारा कर लिया जाए
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari