kis se haal-e-dil ye kahte
baad uske kaise rahte
mar gaya jab mujh mein main hi
ashk ye phir kaise bahte
kar liya phir khud ko patthar
zakhm kitne aur sahte
barson se hain tanhaa ankur
kaise bin ab khud ke rahte
किस से हाल-ए-दिल ये कहते
बाद उसके कैसे रहते
मर गया जब मुझ में मैं ही
अश्क ये फिर कैसे बहते
कर लिया फिर ख़ुद को पत्थर
ज़ख़्म कितने और सहते
बरसों से हैं तन्हा 'अंकुर'
कैसे बिन अब ख़ुद के रहते
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari