mitti the mitti ho gaye
jaane kahaan ham kho gaye
ik raat aisi aayi phir
un taaron ke ham ho gaye
tha dekhna us chaand ko
par jaane kab ham so gaye
socha bacha loon khud ko par
phir us gali mein kho gaye
jaana tha khud se door par
ham phir usi ke ho gaye
मिट्टी थे मिट्टी हो गए
जाने कहाँ हम खो गए
इक रात ऐसी आई फिर
उन तारों के हम हो गए
था देखना उस चाँद को
पर जाने कब हम सो गए
सोचा बचा लूँ ख़ुद को पर
फिर उस गली में खो गए
जाना था ख़ुद से दूर पर
हम फिर उसी के हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading Gaon Shayari Shayari