ek ehsaan kar bhi sakte the | एक एहसान कर भी सकते थे

  - Manmauji

ek ehsaan kar bhi sakte the
khud ko aasaan kar bhi sakte the

ghair-waajib to thi mulaqaatein
par meri jaan kar bhi sakte the

tum na lautoge tay hua tha magar
ham ko hairaan kar bhi sakte the

ishq izhaar bin tadap ke mara
iska ailaan kar bhi sakte the

chand usoolon ko bech dete kaash
zeest aasaan kar bhi sakte the

ranj udaasi ke rakht mein se kuchh
kam ye samaan kar bhi sakte the

khudkushi faide ginaati rahi
ham ye nuksaan kar bhi sakte the

din mein ik baar kam se kam mauji
isht ka dhyaan kar bhi sakte the

एक एहसान कर भी सकते थे
ख़ुद को आसान कर भी सकते थे

ग़ैर-वाजिब तो थी मुलाक़ातें
पर मेरी जान कर भी सकते थे

तुम न लौटोगे तय हुआ था मगर
हम को हैरान कर भी सकते थे

इश्क़ इज़हार बिन तड़प के मरा
इसका ऐलान कर भी सकते थे

चंद उसूलों को बेच देते काश
ज़ीस्त आसान कर भी सकते थे

रंज उदासी के रख़्त में से कुछ
कम ये सामान कर भी सकते थे

ख़ुदकुशी फ़ाइदे गिनाती रही
हम ये नुक़सान कर भी सकते थे

दिन में इक बार कम से कम ‘मौजी’
इष्ट का ध्यान कर भी सकते थे

  - Manmauji

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manmauji

As you were reading Shayari by Manmauji

Similar Writers

our suggestion based on Manmauji

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari