dava ke saath mila ban gaya dava paani | दवा के साथ मिला बन गया दवा पानी

  - Manmauji

dava ke saath mila ban gaya dava paani
mila jo zahar mein to qahar ban gaya paani

ye kaainaat ke qabiz hai teen hisson par
azeb haal hai bottle mein bik raha paani

sate-sate se makaanon mein faasile hain ravaan
badal chuka hai mera shehar bhi hawa paani

yahin sikhaaya buzurgon ne bete rote nahin
main chaah kar bhi na aankhon mein la saka paani

bata sakegi wahi neer ki sahi qeemat
mila faqat jise panghat se ik ghada paani

ye dil bihar hua ja raha muhabbat mein
sanam ki yaad ka sar se guzar raha paani

vo kah raha tha bahut khush hoon jeest se mauji
par uski aankh ka sab kuchh bata gaya paani

दवा के साथ मिला बन गया दवा पानी
मिला जो ज़हर में तो क़हर बन गया पानी

ये काइनात के क़बिज़ है तीन हिस्सों पर
अज़ीब हाल है बोतल में बिक रहा पानी

सटे-सटे से मकानों में फ़ासिले हैं रवाँ
बदल चुका है मेरा शहर भी हवा पानी

यहीं सिखाया बुज़ुर्गों ने, बेटे रोते नहीं
मैं चाह कर भी न आँखों में ला सका पानी

बता सकेगी वही नीर की सही क़ीमत
मिला फ़क़त जिसे पनघट से इक घड़ा पानी

ये दिल बिहार हुआ जा रहा मुहब्बत में
सनम की याद का सर से गुज़र रहा पानी

वो कह रहा था बहुत खुश हूँ जी़स्त से ‘मौजी’
पर उसकी आँख का सब कुछ बता गया पानी

  - Manmauji

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manmauji

As you were reading Shayari by Manmauji

Similar Writers

our suggestion based on Manmauji

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari