mujhko to darkaar nahin hai samjha kar | मुझको तो दरकार नहीं है समझा कर - Manmauji

mujhko to darkaar nahin hai samjha kar
par dil ko inkaar nahin hai samjha kar

beshak tumko dekh ke kuch kuch hota hai
aisa pehli baar nahin hai samjha kar

imshab tumko rok to luun apne ghar mein
chat hai बस,दीवार nahin hai samjha kar

khanda-lab vo sab se hans kar milta hai
ai dil ye izhaar nahin hai samjha kar

pyaar vyaar maine sab karke dekh liya
in baaton mein saar nahin hai samjha kar

badan mere tu tan-aasaani maang raha
hisse mein itwaar. nahin hai samjha kar

ek nahin do job laga dete tumko
mauji ki sarkaar nahin hai samjha kar

मुझको तो दरकार नहीं है समझा कर
पर दिल को इनकार नहीं है समझा कर

बेशक तुमको देख के कुछ कुछ होता है
ऐसा पहली बार नहीं है समझा कर

इमशब तुमको रोक तो लूँ अपने घर में
छत है बस,दीवार नहीं है समझा कर

ख़ंदा-लब वो सब से हँस कर मिलता है
एऐ दिल ये इज़हार नहीं है समझा कर

प्यार व्यार मैंने सब करके देख लिया
इन बातों में सार नहीं है समझा कर

बदन मेरे तू तन-आसानी माँग रहा
हिस्से में इतवार नहीं है समझा कर

एक नहीं दो जॉब लगा देते तुमको
‘मौजी’ की सरकार नहीं है समझा कर

- Manmauji
2 Likes

Politics Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manmauji

As you were reading Shayari by Manmauji

Similar Writers

our suggestion based on Manmauji

Similar Moods

As you were reading Politics Shayari Shayari