chalte chalte ye haalat hui raah mein bin piye may-kashi ka maza aa gaya | चलते चलते ये हालत हुई राह में बिन पिए मय-कशी का मज़ा आ गया - Mumtaz Naseem

chalte chalte ye haalat hui raah mein bin piye may-kashi ka maza aa gaya
paas koi nahin tha magar yun laga koi dil se mere aa ke takra gaya

aaj pahle-pahl tajurba ye hua eed hoti hai aisi khabar hi na thi
chaand ko dekhne ghar se jab main chali doosra chaand mere qareeb aa gaya

ai hawa-e-chaman mujh pe ehsaan na kar nikhat-e-gul ki mujh ko zaroorat nahin
ishq ki raah mein pyaar ke itr se mere saare badan ko vo mahka gaya

hijr ka mere dil mein andhera kiye vo jo pardes mein tha basera kiye
jis ke aane ka koi gumaan bhi na tha dafa'atan mujh ko aa ke vo chauka gaya

rang mumtaaz chehre ka aisa khila zindagi mein naya haadisa ho gaya
aaina aur main dono hairaan the main bhi sharma gai vo bhi sharma gaya

चलते चलते ये हालत हुई राह में बिन पिए मय-कशी का मज़ा आ गया
पास कोई नहीं था मगर यूँ लगा कोई दिल से मिरे आ के टकरा गया

आज पहले-पहल तजरबा ये हुआ ईद होती है ऐसी ख़बर ही न थी
चाँद को देखने घर से जब मैं चली दूसरा चाँद मेरे क़रीब आ गया

ऐ हवा-ए-चमन मुझ पे एहसाँ न कर निकहत-ए-गुल की मुझ को ज़रूरत नहीं
इश्क़ की राह में प्यार के इत्र से मेरे सारे बदन को वो महका गया

हिज्र का मेरे दिल में अँधेरा किए वो जो परदेस में था बसेरा किए
जिस के आने का कोई गुमाँ भी न था दफ़अ'तन मुझ को आ के वो चौंका गया

रंग 'मुमताज़' चेहरे का ऐसा खिला ज़िंदगी में नया हादिसा हो गया
आइना और मैं दोनों हैरान थे मैं भी शर्मा गई वो भी शर्मा गया

- Mumtaz Naseem
0 Likes

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mumtaz Naseem

As you were reading Shayari by Mumtaz Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Mumtaz Naseem

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari