tujhe kaise ilm na ho saka badi door tak ye khabar gai
tire shehar hi ki ye shaayera tire intizaar mein mar gai
koi baatein theen koi tha sabab jo main wa'da kar ke mukar gai
tire pyaar par to yaqeen tha main khud apne aap se dar gai
vo tire mizaaj ki baat thi ye mere mizaaj ki baat hai
tu meri nazar se na gir saka main tiri nazar se utar gai
hai khuda gawaah tire bina meri zindagi to na kat saki
mujhe ye bata ki mere bina tiri umr kaise guzar gai
vo safar ko apne tamaam kar gai raat aayenge laut kar
ye naseem main ne sooni khabar to main shaam hi se sanwar gai
तुझे कैसे इल्म न हो सका बड़ी दूर तक ये ख़बर गई
तिरे शहर ही की ये शाएरा तिरे इंतिज़ार में मर गई
कोई बातें थीं कोई था सबब जो मैं वा'दा कर के मुकर गई
तिरे प्यार पर तो यक़ीन था मैं ख़ुद अपने आप से डर गई
वो तिरे मिज़ाज की बात थी ये मिरे मिज़ाज की बात है
तू मिरी नज़र से न गिर सका मैं तिरी नज़र से उतर गई
है ख़ुदा गवाह तिरे बिना मिरी ज़िंदगी तो न कट सकी
मुझे ये बता कि मिरे बिना तिरी उम्र कैसे गुज़र गई
वो सफ़र को अपने तमाम कर, गई रात आएँगे लौट कर
ये 'नसीम' मैं ने सुनी ख़बर तो मैं शाम ही से सँवर गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mumtaz Naseem
our suggestion based on Mumtaz Naseem
As you were reading Nazar Shayari Shayari