aisa lagta hai ki kar dega ab azaad mujhe
meri marzi se udaane laga sayyaad mujhe
main hoon sarhad pe bane ek makaan ki soorat
kab talak dekhiye rakhta hai vo aabaad mujhe
ek qisse ki tarah vo to mujhe bhool gaya
ik kahaani ki tarah vo hai magar yaad mujhe
kam se kam ye to bata de ki kidhar jaayegi
kar ke ai khana-kharaabi meri barbaad mujhe
main samajh jaata hoon is mein koi kamzori hai
mere jis she'r pe milti hai bahut daad mujhe
ऐसा लगता है कि कर देगा अब आज़ाद मुझे
मेरी मर्ज़ी से उड़ाने लगा सय्याद मुझे
मैं हूँ सरहद पे बने एक मकाँ की सूरत
कब तलक देखिए रखता है वो आबाद मुझे
एक क़िस्से की तरह वो तो मुझे भूल गया
इक कहानी की तरह वो है मगर याद मुझे
कम से कम ये तो बता दे कि किधर जाएगी
कर के ऐ ख़ाना-ख़राबी मिरी बर्बाद मुझे
मैं समझ जाता हूँ इस में कोई कमज़ोरी है
मेरे जिस शे'र पे मिलती है बहुत दाद मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari