be-khayaali mein yoon hi bas ik iraada kar liya | बे-ख़याली में यूँ ही बस इक इरादा कर लिया

  - Muneer Niyazi

be-khayaali mein yoon hi bas ik iraada kar liya
apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya

jaante the dono ham us ko nibha sakte nahin
us ne vaada kar liya maine bhi vaada kar liya

gair se nafrat jo pa li kharch khud par ho gai
jitne ham the ham ne khud ko us se aadha kar liya

shaam ke rangon mein rakh kar saaf paani ka gilaas
aab-e-saada ko hareef-e-rang-e-baada kar liya

hijraton ka khauf tha ya pur-kashish kohna maqaam
kya tha jis ko ham ne khud deewar-e-jaada kar liya

ek aisa shakhs banta ja raha hoon main muneer
jis ne khud par band husn o jaam o baada kar liya

बे-ख़याली में यूँ ही बस इक इरादा कर लिया
अपने दिल के शौक़ को हद से ज़ियादा कर लिया

जानते थे दोनों हम उस को निभा सकते नहीं
उस ने वादा कर लिया मैंने भी वादा कर लिया

ग़ैर से नफ़रत जो पा ली ख़र्च ख़ुद पर हो गई
जितने हम थे हम ने ख़ुद को उस से आधा कर लिया

शाम के रंगों में रख कर साफ़ पानी का गिलास
आब-ए-सादा को हरीफ़-ए-रंग-ए-बादा कर लिया

हिजरतों का ख़ौफ़ था या पुर-कशिश कोहना मक़ाम
क्या था जिस को हम ने ख़ुद दीवार-ए-जादा कर लिया

एक ऐसा शख़्स बनता जा रहा हूँ मैं 'मुनीर'
जिस ने ख़ुद पर बंद हुस्न ओ जाम-ओ-बादा कर लिया

  - Muneer Niyazi

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muneer Niyazi

As you were reading Shayari by Muneer Niyazi

Similar Writers

our suggestion based on Muneer Niyazi

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari