ab jee hudood-e-sood-o-zayaan se guzar gaya | अब जी हुदूद-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ से गुज़र गया

  - Mustafa Zaidi

ab jee hudood-e-sood-o-zayaan se guzar gaya
achha wahi raha jo jawaani mein mar gaya

palkon pe aa ke ruk sii gai thi har ek mauj
kal ro liye to aankh se dariya utar gaya

tujh se to dil ke paas mulaqaat ho gai
main khud ko dhoondhne ke liye dar-b-dar gaya

shaam-e-watan kuchh apne shaheedon ka zikr kar
jin ke lahu se subah ka chehra nikhar gaya

aakhir bahaar ko to jo karna tha kar gai
ilzaam-e-ehtiyaat girebaan ke sar gaya

zanjeer maatami hai tum ai aqilan-e-sheher
ab kis ko poochhte ho deewana to mar gaya

अब जी हुदूद-ए-सूद-ओ-ज़ियाँ से गुज़र गया
अच्छा वही रहा जो जवानी में मर गया

पलकों पे आ के रुक सी गई थी हर एक मौज
कल रो लिए तो आँख से दरिया उतर गया

तुझ से तो दिल के पास मुलाक़ात हो गई
मैं ख़ुद को ढूँडने के लिए दर-ब-दर गया

शाम-ए-वतन कुछ अपने शहीदों का ज़िक्र कर
जिन के लहू से सुब्ह का चेहरा निखर गया

आख़िर बहार को तो जो करना था कर गई
इल्ज़ाम-ए-एहतियात गिरेबाँ के सर गया

ज़ंजीर मातमी है तुम ऐ आक़िलान-ए-शहर
अब किस को पूछते हो दिवाना तो मर गया

  - Mustafa Zaidi

More by Mustafa Zaidi

As you were reading Shayari by Mustafa Zaidi

Similar Writers

our suggestion based on Mustafa Zaidi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari