sar uthaane ki to himmat nahin karne waale | सर उठाने की तो हिम्मत नहीं करने वाले

  - Nadim Nadeem

sar uthaane ki to himmat nahin karne waale
ye jo murda hain bagaavat nahin karne waale

muflisi laakh sahi ham mein vo khuddaari hai
haakim-e-waqt ki khidmat nahin karne waale

in se ummeed na rakh hain ye siyaasat waale
ye kisi se bhi mohabbat nahin karne waale

haath aandhi se mila aaye isee daur ke log
ye charaagon ki hifazat nahin karne waale

ishq ham ko ye nibhaana hai to jo rakh shartein
ham kisi shart pe hujjat nahin karne waale

phod kar sar tire dar par yahin mar jaayenge
ham tire shehar se hijrat nahin karne waale

सर उठाने की तो हिम्मत नहीं करने वाले
ये जो मुर्दा हैं बग़ावत नहीं करने वाले

मुफ़्लिसी लाख सही हम में वो ख़ुद्दारी है
हाकिम-ए-वक़्त की ख़िदमत नहीं करने वाले

इन से उम्मीद न रख हैं ये सियासत वाले
ये किसी से भी मोहब्बत नहीं करने वाले

हाथ आँधी से मिला आए इसी दौर के लोग
ये चराग़ों की हिफ़ाज़त नहीं करने वाले

इश्क़ हम को ये निभाना है तो जो रख शर्तें
हम किसी शर्त पे हुज्जत नहीं करने वाले

फोड़ कर सर तिरे दर पर यहीं मर जाएँगे
हम तिरे शहर से हिजरत नहीं करने वाले

  - Nadim Nadeem

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadim Nadeem

As you were reading Shayari by Nadim Nadeem

Similar Writers

our suggestion based on Nadim Nadeem

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari