waqt par ishq-e-zulekha ka asar lagta hai | वक़्त पर इश्क़-ए-ज़ुलेख़ा का असर लगता है

  - Naeem Zarrar Ahmad

waqt par ishq-e-zulekha ka asar lagta hai
aakhir-e-umr bhi aaghaaz-e-safar lagta hai

ye samundar hai magar sokhta-jaan shaair ko
kisi majboor ka ik deeda-e-tar lagta hai

subh-e-taaza hai muqaddar dil-e-maayus thehar
shajar-e-ummeed pe ina'am-e-samar lagta hai

main zabaan-bandi ka ye ahad nahin todunga
haan magar is dil-e-gustaakh se dar lagta hai

hamein idraak-e-mohabbat to nahin hai lekin
itna maaloom hai is khel mein sar lagta hai

वक़्त पर इश्क़-ए-ज़ुलेख़ा का असर लगता है
आख़िर-ए-उम्र भी आग़ाज़-ए-सफ़र लगता है

ये समुंदर है मगर सोख़्ता-जाँ शाइर को
किसी मजबूर का इक दीदा-ए-तर लगता है

सुब्ह-ए-ताज़ा है मुक़द्दर दिल-ए-मायूस ठहर
शजर-ए-उम्मीद पे इनआ'म-ए-समर लगता है

मैं ज़बाँ-बंदी का ये अहद नहीं तोडूँगा
हाँ मगर इस दिल-ए-गुस्ताख़ से डर लगता है

हमें इदराक-ए-मोहब्बत तो नहीं है लेकिन
इतना मालूम है इस खेल में सर लगता है

  - Naeem Zarrar Ahmad

Terrorism Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Zarrar Ahmad

As you were reading Shayari by Naeem Zarrar Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Zarrar Ahmad

Similar Moods

As you were reading Terrorism Shayari Shayari