saamne sarkaar ke kuchh baat rakhkar dekhiye | सामने सरकार के कुछ बात रखकर देखिए

  - nakul kumar

saamne sarkaar ke kuchh baat rakhkar dekhiye
ban na paaye baat to soghat rakhkar dekhiye

kis qadar sahme hue hain tootne ke dar se ye
aap in kacche ghadon par haath rakhkar dekhiye

dekhiye kaise koii dhota hai apni zindagi
aap mere haal mein haalaat rakhkar dekhiye

aapki kya ahmiyat hai dekhna chahein to phir
pattharon ke saamne jazbaat rakhkar dekhiye

aap apne aap ko mujhmein dubote jaaenge
mujhko apni qaid mein ik raat rakhkar dekhiye

zyaadati har baat kii har cheez kii achhi nahin
doobte shehron mein kuchh barsaat rakhkar dekhiye

dekhiye mazdoor ke haathon mein duniya ka sira
ik ghadi haathon mein uske haath rakhkar dekhiye

tootte hain log bhi rangeen mausam mein yahan
dekhiye bewa ke dar baaraat rakhkar dekhiye

ye kabhi milne chale aayenge sadiyon baad bhi
waqt ke pannon mein kuchh lamhaat rakhkar dekhiye

सामने सरकार के कुछ बात रखकर देखिए
बन न पाए बात तो सौग़ात रखकर देखिए

किस क़दर सहमे हुए हैं टूटने के डर से ये
आप इन कच्चे घड़ों पर हाथ रखकर देखिए

देखिए कैसे कोई ढोता है अपनी ज़िंदगी
आप मेरे हाल में हालात रखकर देखिए

आपकी क्या अहमियत है देखना चाहें तो फिर
पत्थरों के सामने जज़्बात रखकर देखिए

आप अपने आप को मुझमें डुबोते जाऍंगे
मुझको अपनी क़ैद में इक रात रखकर देखिए

ज़्यादती हर बात की हर चीज़ की अच्छी नहीं
डूबते शहरों में कुछ बरसात रखकर देखिए

देखिए मज़दूर के हाथों में दुनिया का सिरा
इक घड़ी हाथों में उसके हाथ रखकर देखिए

टूटते हैं लोग भी रंगीन मौसम में यहाँ
देखिए बेवा के दर बारात रखकर देखिए

ये कभी मिलने चले आऍंगे सदियों बाद भी
वक़्त के पन्नों में कुछ लम्हात रखकर देखिए

  - nakul kumar

More by nakul kumar

As you were reading Shayari by nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on nakul kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari