yun mila bazaar mein bejaan ho jaise | यूँ मिला बाज़ार में बेजान हो जैसे - nakul kumar

yun mila bazaar mein bejaan ho jaise
kar diya mujhpe koii ehsaan ho jaise

maarta hoon dafn bhi karta hoon sab yaadein
dil mera ho ya ki qabristaan ho jaise

tujhse milta hoon to phir lagta hai ye mujhko
qeemti is waqt ka nuqsaan ho jaise

kaam lete hain sabhi apne tareeqe se
dil mera dil hi nahin samaan ho jaise

ja tujhe jaane diya jaanaan meri jaanaan
jaan ab tu ho gai anjaan ho jaise

is tarah milta hoon main anjaan logon se
sadiyon se insey meri pehchaan ho jaise

dekh len tujhko kabhi to aag lagti hai
meri aankhon mein kahin shamshaan ho jaise

यूँ मिला बाज़ार में बेजान हो जैसे
कर दिया मुझपे कोई एहसान हो जैसे

मारता हूँ दफ़्न भी करता हूँ सब यादें
दिल मिरा हो या कि क़ब्रिस्तान हो जैसे

तुझसे मिलता हूँ तो फिर लगता है ये मुझको
क़ीमती इस वक़्त का नुक़्सान हो जैसे

काम लेते हैं सभी अपने तरीक़े से
दिल मिरा दिल ही नहीं सामान हो जैसे

जा तुझे जाने दिया जानाँ मिरी जानाँ
जान अब तू हो गई अनजान हो जैसे

इस तरह मिलता हूँ मैं अनजान लोगों से
सदियों से इनसे मिरी पहचान हो जैसे

देख लें तुझको कभी तो आग लगती है
मेरी आँखों में कहीं शमशान हो जैसे

- nakul kumar
44 Likes

More by nakul kumar

As you were reading Shayari by nakul kumar

Similar Writers

our suggestion based on nakul kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari