phir saawan rut ki pavan chali tum yaad aaye
phir patton ki paazeb bajee tum yaad aaye
phir koojen bolin ghaas ke hare samundar mein
rut aayi peele phoolon ki tum yaad aaye
phir kaaga bola ghar ke soone aangan mein
phir amrit ras ki boond padi tum yaad aaye
pehle to main cheekh ke roya aur phir hansne laga
baadal garja bijli chamki tum yaad aaye
din bhar to main duniya ke dhando'nmein khoya raha
jab deewaron se dhoop dhali tum yaad aaye
फिर सावन रुत की पवन चली तुम याद आए
फिर पत्तों की पाज़ेब बजी तुम याद आए
फिर कूजें बोलीं घास के हरे समुंदर में
रुत आई पीले फूलों की तुम याद आए
फिर कागा बोला घर के सूने आंगन में
फिर अमृत रस की बूँद पड़ी तुम याद आए
पहले तो मैं चीख़ के रोया और फिर हंसने लगा
बादल गरजा बिजली चमकी तुम याद आए
दिन भर तो मैं दुनिया के धंधोंमें खोया रहा
जब दीवारों से धूप ढली तुम याद आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nasir Kazmi
our suggestion based on Nasir Kazmi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari