mohabbat mein wafadari se bachie
jahaan tak ho adaakaari se bachie
har ik soorat bhali lagti hai kuchh din
lahu ki sho'bda-kaari se bachie
sharaafat aadmiyat dard-mandi
bade shehron mein beemaari se bachie
zaroori kya har ik mehfil mein baitheen
takalluf ki rawa-daari se bachie
bina pairo'n ke sar chalte nahin hain
buzurgon ki samajhdari se bachie
मोहब्बत में वफ़ादारी से बचिए
जहाँ तक हो अदाकारी से बचिए
हर इक सूरत भली लगती है कुछ दिन
लहू की शो'बदा-कारी से बचिए
शराफ़त आदमियत दर्द-मंदी
बड़े शहरों में बीमारी से बचिए
ज़रूरी क्या हर इक महफ़िल में बैठें
तकल्लुफ़ की रवा-दारी से बचिए
बिना पैरों के सर चलते नहीं हैं
बुज़ुर्गों की समझदारी से बचिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Mehfil Shayari Shayari