talash kar na zameen aasmaan se baahar
nahin hai raah koi is makaan se baahar
bas ek do hi qadam aur the safar waale
thakaan dekh na paai thakaan se baahar
nisaab darja-b-darja yun hi badalta hai
hua na koi bhi is imtihaan se baahar
usi ki justuju akshar udaas karti hai
vo ik jahaan jo hai har jahaan se baahar
namaaziyo se kaho dekhen chaand-sooraj ko
nikal rahe hain mu'azzin azaan se baahar
तलाश कर न ज़मीं आसमान से बाहर
नहीं है राह कोई इस मकान से बाहर
बस एक दो ही क़दम और थे सफ़र वाले
थकान देख न पाई थकान से बाहर
निसाब दर्जा-ब-दर्जा यूँ ही बदलता है
हुआ न कोई भी इस इम्तिहान से बाहर
उसी की जुस्तुजू अक्सर उदास करती है
वो इक जहाँ जो है हर जहान से बाहर
नमाज़ियों से कहो देखें चाँद-सूरज को
निकल रहे हैं मुअज़्ज़िन अज़ान से बाहर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Justaju Shayari Shayari