bujh gaye neel-gagan
ab kahi koi nahin
jal gaye saare farishton ke badan
bujh gaye neel-gagan
tootaa chaand bikharta suraj
koi neki na badi
ab kahi koi nahin
aag ke shole badhe
aasmaanon ka khuda
dar ke zameen par utara
chaar chhe gaam chala toot gaya
aadmi apni hi deewaron se patthar le kar
phir gufaaon ki taraf laut gaya
ab kahi koi nahin
"बुझ गए नील-गगन"
अब कहीं कोई नहीं
जल गए सारे फ़रिश्तों के बदन
बुझ गए नील-गगन
टूटता चाँद बिखरता सूरज
कोई नेकी न बदी
अब कहीं कोई नहीं
आग के शोले बढ़े
आसमानों का ख़ुदा
डर के ज़मीं पर उतरा
चार छे गाम चला टूट गया
आदमी अपनी ही दीवारों से पत्थर ले कर
फिर गुफाओं की तरफ़ लौट गया
अब कहीं कोई नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Paani Shayari Shayari