kacchi deewarein | "कच्ची दीवारें"

  - Nida Fazli

kacchi deewarein

meri maa har din apne boodhe haathon se
idhar udhar se mitti la kar
ghar ki kacchi deewaron ke zakhamon ko
bharti rahti hai
tez hawaon ke jhonkon se
bechaari kitna darti hai
meri maa kitni bholi hai
barson ki seeli deewarein
chhote-mote paivando'n se
aakhir kab tak ruk paaye'ngi
jab koi baadal garjega
har har karti dhah jaayengi

"कच्ची दीवारें"

मेरी माँ हर दिन अपने बूढे हाथों से
इधर उधर से मिट्टी ला कर
घर की कच्ची दीवारों के ज़ख़्मों को
भरती रहती है
तेज़ हवाओं के झोंकों से
बेचारी कितना डरती है
मेरी माँ कितनी भोली है
बरसों की सीली दीवारें
छोटे-मोटे पैवंदों से
आख़िर कब तक रुक पाएँगी
जब कोई बादल गरजेगा
हर हर करती ढह जाएँगी

  - Nida Fazli

Maa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Maa Shayari Shayari