pighlata dhuaan
door shaadaab pahaadi pe bana ik bangla
laal khaprailo'n pe phaili hui angoor ki bel
sehan mein bikhre hue mitti ke raja-raani
munh chidhaati hui bacchon ko koi deewani
seb ke ujle darakhton ki ghani chaanv mein
paanv dale hue taalaab mein koi ladki
gore haathon mein sambhaale hue takie ka ghilaaf
an-kahi baaton ko dhaagon mein siye jaati hai
dil ke jazbaat ka izhaar kiye jaati hai
garm choolhe ke qareen baithi hui ik aurat
ek paivand lagi saari se tan ko dhaanpe
dhundli aankhon se meri samt take jaati hai
mujh ko awaaz pe awaaz diye jaati hai
ik sulagti hui cigarette ka bal khaata dhuaan
phailta jaata hai har samt mere kamre mein
"पिघलता धुआँ"
दूर शादाब पहाड़ी पे बना इक बंगला
लाल खपरैलों पे फैली हुई अँगूर की बेल
सेहन में बिखरे हुए मिट्टी के राजा-रानी
मुँह चिढ़ाती हुई बच्चों को कोई दीवानी
सेब के उजले दरख़्तों की घनी छाँव में
पाँव डाले हुए तालाब में कोई लड़की
गोरे हाथों में सँभाले हुए तकिए का ग़िलाफ़
अन-कही बातों को धागों में सिए जाती है
दिल के जज़्बात का इज़हार किए जाती है
गर्म चूल्हे के क़रीं बैठी हुई इक औरत
एक पैवंद लगी साड़ी से तन को ढाँपे
धुँदली आँखों से मिरी सम्त तके जाती है
मुझ को आवाज़ पे आवाज़ दिए जाती है
इक सुलगती हुई सिगरेट का बल खाता धुआँ
फैलता जाता है हर सम्त मिरे कमरे में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Haalaat Shayari Shayari