qaumi yak-jehati
vo tawaif
kai mardon ko pahchaanti hai
shaayad isee liye
duniya ko ziyaada jaanti hai
us ke kamre mein
har mazhab ke bhagwaan ki ek ek tasveer latki hai
ye tasveerein
leaders ki taqreeron ki tarah numaishii nahin
us ka darwaaza
raat gaye tak
hindu
muslim
sikh
eesaai
har mazhab ke aadmi ke liye khula rehta hai
khuda jaane
us ke kamre ki si kushaadgi
masjid aur mandir ke aangaanon mein kab paida hogi
"क़ौमी यक-जेहती"
वो तवाइफ़
कई मर्दों को पहचानती है
शायद इसी लिए
दुनिया को ज़ियादा जानती है
उस के कमरे में
हर मज़हब के भगवान की एक एक तस्वीर लटकी है
ये तस्वीरें
लीडरों की तक़रीरों की तरह नुमाइशी नहीं
उस का दरवाज़ा
रात गए तक
हिन्दू
मुस्लिम
सिख
ईसाई
हर मज़हब के आदमी के लिए खुला रहता है
ख़ुदा जाने
उस के कमरे की सी कुशादगी
मस्जिद और मंदिर के आँगनों में कब पैदा होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Raat Shayari Shayari