waqt se pehle
yun to har rishte ka anjaam yahi hota hai
phool khilta hai
mahakta hai
bikhar jaata hai
tum se vaise to nahin koi shikaayat
lekin
shaakh ho sabz
to hassaas fazaa hoti hai
har kali zakham ki soorat hi juda hoti hai
tum ne
be-kaar hi mausam ko sataaya warna
phool jab khil ke mahak jaata hai
khud-b-khud
shaakh se gir jaata hai
"वक़्त से पहले"
यूँ तो हर रिश्ते का अंजाम यही होता है
फूल खिलता है
महकता है
बिखर जाता है
तुम से वैसे तो नहीं कोई शिकायत
लेकिन
शाख़ हो सब्ज़
तो हस्सास फ़ज़ा होती है
हर कली ज़ख़्म की सूरत ही जुदा होती है
तुम ने
बे-कार ही मौसम को सताया वर्ना
फूल जब खिल के महक जाता है
ख़ुद-ब-ख़ुद
शाख़ से गिर जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Kashmir Shayari Shayari