shauq ko azim-e-safar rakhiye | शौक़ को आज़िम-ए-सफ़र रखिए

  - Nikhat Iftikhar

shauq ko azim-e-safar rakhiye
be-khabar ban ke sab khabar rakhiye

chahe nazarein ho aasmaanon par
paanv lekin zameen par rakhiye

mujhko dil mein agar basaana hai
ek sehra ko apne ghar rakhiye

koii nashsha ho toot jaata hai
kab talak khud ko be-khabar rakhiye

jaane kis waqt kooch karna ho
apna samaan mukhtasar rakhiye

dil ko khud dil se raah hoti hai
kis liye koii nama-bar rakhiye

baat hai kya ye kaun parkhega
aap lehje ko pur-asar rakhiye

ek tuk mujh ko dekhe jaati hain
apni nazaron pe kuchh nazar rakhiye

शौक़ को आज़िम-ए-सफ़र रखिए
बे-ख़बर बन के सब ख़बर रखिए

चाहे नज़रें हो आसमानों पर
पाँव लेकिन ज़मीन पर रखिए

मुझको दिल में अगर बसाना है
एक सहरा को अपने घर रखिए

कोई नश्शा हो टूट जाता है
कब तलक ख़ुद को बे-ख़बर रखिए

जाने किस वक़्त कूच करना हो
अपना सामान मुख़्तसर रखिए

दिल को ख़ुद दिल से राह होती है
किस लिए कोई नामा-बर रखिए

बात है क्या ये कौन परखेगा
आप लहजे को पुर-असर रखिए

एक टुक मुझ को देखे जाती हैं
अपनी नज़रों पे कुछ नज़र रखिए

  - Nikhat Iftikhar

Similar Writers

our suggestion based on Nikhat Iftikhar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari